koi hairat hai na is baat ka rona hai humein | कोई हैरत है न इस बात का रोना है हमें - Ahmad Khayal

koi hairat hai na is baat ka rona hai humein
khaak se utthe hain so khaak hi hona hai humein

phir taalluq ke bikharna ki shikaayat kaisi
jab use kaanch ke dhaagon mein pirona hai humein

ungliyon ki sabhi poron se lahu rishta hai
apne daaman ke ye kis daagh ko dhona hai humein

phir utar aaye hain palkon pe siskate aansu
phir kisi shaam ke aanchal ko bhigona hai humein

ye jo aflaak ki wus'at mein liye phirti hai
is ana ne hi kisi roz dubona hai humein

कोई हैरत है न इस बात का रोना है हमें
ख़ाक से उट्ठे हैं सो ख़ाक ही होना है हमें

फिर तअल्लुक़ के बिखरने की शिकायत कैसी
जब उसे काँच के धागों में पिरोना है हमें

उँगलियों की सभी पोरों से लहू रिसता है
अपने दामन के ये किस दाग़ को धोना है हमें

फिर उतर आए हैं पलकों पे सिसकते आँसू
फिर किसी शाम के आँचल को भिगोना है हमें

ये जो अफ़्लाक की वुसअत में लिए फिरती है
इस अना ने ही किसी रोज़ डुबोना है हमें

- Ahmad Khayal
0 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari