use ik ajnabi khidki se jhaanka
zamaane ko nayi khidki se jhaanka
vo poora chaand tha lekin hamesha
gali mein adh-khuli khidki se jhaanka
mein pehli martaba nashshe mein aaya
koi jab doosri khidki se jhaanka
amar hone ki khwaahish mar gai thi
jab is ne daaimi khidki se jhaanka
mein sabze par chala tha nange paanv
sehar dam shabnami khidki se jhaanka
mujhe bhaate hain lamhe ikhtitaami
mein pehle aakhiri khidki se jhaanka
उसे इक अजनबी खिड़की से झाँका
ज़माने को नई खिड़की से झाँका
वो पूरा चाँद था लेकिन हमेशा
गली में अध-खुली खिड़की से झाँका
में पहली मर्तबा नश्शे में आया
कोई जब दूसरी खिड़की से झाँका
अमर होने की ख़्वाहिश मर गई थी
जब इस ने दाइमी खिड़की से झाँका
में सब्ज़े पर चला था नंगे पाँव
सहर दम शबनमी खिड़की से झाँका
मुझे भाते हैं लम्हे इख़तितामी
में पहले आख़िरी खिड़की से झाँका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Khayal
our suggestion based on Ahmad Khayal
As you were reading Eid Shayari Shayari