sukoot todne ka ehtimaam karna chahiye | सुकूत तोड़ने का एहतिमाम करना चाहिए

  - Ahmad Khayal

sukoot todne ka ehtimaam karna chahiye
kabhi-kabhaar khud se bhi kalaam karna chahiye

adab mein jhukna chahiye salaam karna chahiye
khird tujhe junoon ko imaam karna chahiye

uljh gaye hain saare taar ab mere khuda tujhe
taveel dastaan ka ikhtitaam karna chahiye

tamaam log nafratoin ke zahar mein bujhe hue
mohabbaton ke silsiloon ko aam karna chahiye

mere lahu tu chashm aur ashk se gurez kar
tujhe ragon ke darmiyaan khiraam karna chahiye

सुकूत तोड़ने का एहतिमाम करना चाहिए
कभी-कभार ख़ुद से भी कलाम करना चाहिए

अदब में झुकना चाहिए सलाम करना चाहिए
ख़िरद तुझे जुनून को इमाम करना चाहिए

उलझ गए हैं सारे तार अब मिरे ख़ुदा तुझे
तवील दास्ताँ का इख़्तिताम करना चाहिए

तमाम लोग नफ़रतों के ज़हर में बुझे हुए
मोहब्बतों के सिलसिलों को आम करना चाहिए

मिरे लहू तू चश्म और अश्क से गुरेज़ कर
तुझे रगों के दरमियाँ ख़िराम करना चाहिए

  - Ahmad Khayal

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari