qayamat se qayamat se guzaare ja rahe the | क़यामत से क़यामत से गुज़ारे जा रहे थे

  - Ahmad Khayal

qayamat se qayamat se guzaare ja rahe the
ye kin haathon hazaaron log maare ja rahe the

sunhari jal-paree dekhi to phir paani mein koode
vagarna ham to dariya ke kinaare ja rahe the

samundar ek qatre mein sameta ja raha tha
shutur sooi ke naake se guzaare ja rahe the

chaman-zaaron mein khema-zan the seharaaon ke baasi
hare manzar nigaahon mein utaare ja rahe the

sabhi taalaab phoolon aur kirnon se bhara tha
badan khush-rang paani se nikhaare ja rahe the

क़यामत से क़यामत से गुज़ारे जा रहे थे
ये किन हाथों हज़ारों लोग मारे जा रहे थे

सुनहरी जल-परी देखी तो फिर पानी में कूदे
वगर्ना हम तो दरिया के किनारे जा रहे थे

समुंदर एक क़तरे में समेटा जा रहा था
शुतुर सूई के नाके से गुज़ारे जा रहे थे

चमन-ज़ारों में ख़ेमा-ज़न थे सहराओं के बासी
हरे मंज़र निगाहों में उतारे जा रहे थे

सभी तालाब फूलों और किरनों से भरा था
बदन ख़ुश-रंग पानी से निखारे जा रहे थे

  - Ahmad Khayal

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari