ye taalluq tiri pehchaan bana saka tha | ये तअल्लुक़ तिरी पहचान बना सकता था - Ahmad Khayal

ye taalluq tiri pehchaan bana saka tha
tu mere saath bahut naam kama saka tha

ye bhi ejaz mujhe ishq ne baksha tha kabhi
us ki awaaz se main deep jala saka tha

main ne bazaar mein ik baar ziya baanti thi
mera kirdaar mere haath kata saka tha

kuch masaail mujhe ghar rok rahe hain warna
main bhi majnoon ki tarah khaak uda saka tha

ab to tinka mujhe shehteer se bhari hai khayal
main kisi waqt bahut bojh utha saka tha

ये तअल्लुक़ तिरी पहचान बना सकता था
तू मिरे साथ बहुत नाम कमा सकता था

ये भी एजाज़ मुझे इश्क़ ने बख़्शा था कभी
उस की आवाज़ से मैं दीप जला सकता था

मैं ने बाज़ार में इक बार ज़िया बाँटी थी
मेरा किरदार मिरे हाथ कटा सकता था

कुछ मसाइल मुझे घर रोक रहे हैं वर्ना
मैं भी मजनूँ की तरह ख़ाक उड़ा सकता था

अब तो तिनका मुझे शहतीर से भारी है 'ख़याल'
मैं किसी वक़्त बहुत बोझ उठा सकता था

- Ahmad Khayal
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari