jaisi honi ho vo raftaar nahin bhi hoti
raah is samt ki hamvaar nahin bhi hoti
main tahee-dast ladai ke hunar seekhta hoon
kabhi is haath mein talwaar nahin bhi hoti
phir bhi ham log the rasmon mein aqeedon mein juda
gar yahan beech mein deewaar nahin bhi hoti
vo meri zaat se inkaar kiye rakhta hai
gar kabhi soorat-e-inkaarn nahin bhi hoti
jis ko bekar samajh kar kisi kone mein rakhen
aisa hota hai ki bekar nahin bhi hoti
dil kisi bazm mein jaate hi machalta hai khayal
so tabeeyat kahi be-zaar nahin bhi hoti
जैसी होनी हो वो रफ़्तार नहीं भी होती
राह इस सम्त की हमवार नहीं भी होती
मैं तही-दस्त लड़ाई के हुनर सीखता हूँ
कभी इस हाथ में तलवार नहीं भी होती
फिर भी हम लोग थे रस्मों में अक़ीदों में जुदा
गर यहाँ बीच में दीवार नहीं भी होती
वो मिरी ज़ात से इंकार किए रखता है
गर कभी सूरत-ए-इंकार नहीं भी होती
जिस को बेकार समझ कर किसी कोने में रखें
ऐसा होता है कि बेकार नहीं भी होती
दिल किसी बज़्म में जाते ही मचलता है 'ख़याल'
सो तबीअत कहीं बे-ज़ार नहीं भी होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Khayal
our suggestion based on Ahmad Khayal
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari