zindagi khauf se tashkeel nahin karne mujhe
raat se zaat ki takmeel nahin karne mujhe
kisi darvesh ke hujre se abhi aaya hoon
so tire hukm ki taameel nahin karne mujhe
chhod di dasht-navardi bhi ziyaan-kaari bhi
zindagi ab tiri tazleel nahin karne mujhe
dil ke bazaar mein zanjeer-zani honi nahin
aankh bhi aankh rahe jheel nahin karne mujhe
main ki ilhaad ke girdaab mein aaya hua hoon
ab kisi ilm ki tahseel nahin karne mujhe
ladte rahna hai tasalsul se mujhe subh talak
aur talwaar bhi tabdeel nahin karne mujhe
ज़िंदगी ख़ौफ़ से तश्कील नहीं करनी मुझे
रात से ज़ात की तकमील नहीं करनी मुझे
किसी दरवेश के हुजरे से अभी आया हूँ
सो तिरे हुक्म की तामील नहीं करनी मुझे
छोड़ दी दश्त-नवर्दी भी ज़ियाँ-कारी भी
ज़िंदगी अब तिरी तज़लील नहीं करनी मुझे
दिल के बाज़ार में ज़ंजीर-ज़नी होनी नहीं
आँख भी आँख रहे झील नहीं करनी मुझे
मैं कि इल्हाद के गिर्दाब में आया हुआ हूँ
अब किसी इल्म की तहसील नहीं करनी मुझे
लड़ते रहना है तसलसुल से मुझे सुब्ह तलक
और तलवार भी तब्दील नहीं करनी मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Khayal
our suggestion based on Ahmad Khayal
As you were reading Good night Shayari Shayari