koi an-dekhi fazaa tasveer karna chahiye | कोई अन-देखी फ़ज़ा तस्वीर करना चाहिए

  - Ahmad Khayal

koi an-dekhi fazaa tasveer karna chahiye
khwaab ki buniyaad par taameer karna chahiye

main bhatkata phir raha hoon vaaheemon ke darmiyaan
gard lipti rooh ki tatheer karna chahiye

jin dinon deewaangi thehri hui ho zaat mein
ek duniya un dinon taskheer karna chahiye

jis sada mein sau tarah ke rang jhilmil karte hon
vo sada har haal mein tasveer karna chahiye

jald-baazi de gai hai rat-jagon ke silsile
faisley mein thodi si taakheer karna chahiye

ab bagole mujh mein hain aur main bagoolon mein khayal
dasht mein deewaangi zanjeer karna chahiye

कोई अन-देखी फ़ज़ा तस्वीर करना चाहिए
ख़्वाब की बुनियाद पर तामीर करना चाहिए

मैं भटकता फिर रहा हूँ वाहिमों के दरमियाँ
गर्द लिपटी रूह की ततहीर करना चाहिए

जिन दिनों दीवानगी ठहरी हुई हो ज़ात में
एक दुनिया उन दिनों तस्ख़ीर करना चाहिए

जिस सदा में सौ तरह के रंग झिलमिल करते हों
वो सदा हर हाल में तस्वीर करना चाहिए

जल्द-बाज़ी दे गई है रत-जगों के सिलसिले
फ़ैसले में थोड़ी सी ताख़ीर करना चाहिए

अब बगोले मुझ में हैं और मैं बगूलों में 'ख़याल'
दश्त में दीवानगी ज़ंजीर करना चाहिए

  - Ahmad Khayal

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Khayal

As you were reading Shayari by Ahmad Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Khayal

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari