deerina khwahishon se sajaaya gaya mujhe | देरीना ख़्वाहिशों से सजाया गया मुझे

  - Ahmad Zafar

deerina khwahishon se sajaaya gaya mujhe
maqtal mein kis fareb se laaya gaya mujhe

baar-e-samar se shaakh-e-shajar jhuk gai to kya
main be-samar tha phir bhi jhukaaya gaya mujhe

sayyaara-e-zameen hai kahaan sochta hoon main
paataal mein falak se giraaya gaya mujhe

main naqsh-e-hijr-e-yaar hoon shab ki faseel par
jalta hua charaagh banaya gaya mujhe

laaye hain reza reza kisi aaine ke paas
mera hi jism jaise dikhaaya gaya mujhe

patthar mein jab gulaab mehakte dikha diye
ye mo'jiza nahin hai bataaya gaya mujhe

chashmon ke paas ho ke bhi pyaasa hoon main zafar
reg-e-ravaan ka raqs dikhaaya gaya mujhe

देरीना ख़्वाहिशों से सजाया गया मुझे
मक़्तल में किस फ़रेब से लाया गया मुझे

बार-ए-समर से शाख़-ए-शजर झुक गई तो क्या
मैं बे-समर था फिर भी झुकाया गया मुझे

सय्यारा-ए-ज़मीं है कहाँ सोचता हूँ मैं
पाताल में फ़लक से गिराया गया मुझे

मैं नक़्श-ए-हिज्र-ए-यार हूँ शब की फ़सील पर
जलता हुआ चराग़ बनाया गया मुझे

लाए हैं रेज़ा रेज़ा किसी आइने के पास
मेरा ही जिस्म जैसे दिखाया गया मुझे

पत्थर में जब गुलाब महकते दिखा दिए
ये मो'जिज़ा नहीं है बताया गया मुझे

चश्मों के पास हो के भी प्यासा हूँ मैं 'ज़फ़र'
रेग-ए-रवाँ का रक़्स दिखाया गया मुझे

  - Ahmad Zafar

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari