vo phool jo muskuraa raha hai | वो फूल जो मुस्कुरा रहा है - Ahmad Zafar

vo phool jo muskuraa raha hai
shaayad mera dil jala raha hai

chhup kar koi dekhta hai mujh ko
aankhon mein magar samaa raha hai

main chaand ke saath chal raha hoon
vo meri hasi uda raha hai

shaayad kisi daur mein wafa thi
ye daur to bewafa raha hai

sau rang hain zindagi ke lekin
insaan fareb kha raha hai

tasveer bane to mujh se kaise
har naqsh mujhe mita raha hai

jo lamha payaam hai fana ka
chup-chaap qareeb aa raha hai

toofaan ne bhi aankh khol di hai
saahil bhi nazar bacha raha hai

fankaar kahoon use to kaise
takhleeq ko jo mita raha hai

taqdeer mita chuki thi jis ko
tadbeer ka raaz pa raha hai

awaaz se aag lag rahi hai
mutarib hai ki geet ga raha hai

ehsaas-e-shikast-o-kaamraani
aaine kai dikha raha hai

vo khaak-nasheen zafar hai yaaro
jo soo-e-falak bhi ja raha hai

वो फूल जो मुस्कुरा रहा है
शायद मिरा दिल जला रहा है

छुप कर कोई देखता है मुझ को
आँखों में मगर समा रहा है

मैं चाँद के साथ चल रहा हूँ
वो मेरी हँसी उड़ा रहा है

शायद किसी दौर में वफ़ा थी
ये दौर तो बेवफ़ा रहा है

सौ रंग हैं ज़िंदगी के लेकिन
इंसान फ़रेब खा रहा है

तस्वीर बने तो मुझ से कैसे
हर नक़्श मुझे मिटा रहा है

जो लम्हा पयाम है फ़ना का
चुप-चाप क़रीब आ रहा है

तूफ़ाँ ने भी आँख खोल दी है
साहिल भी नज़र बचा रहा है

फ़नकार कहूँ उसे तो कैसे
तख़्लीक़ को जो मिटा रहा है

तक़दीर मिटा चुकी थी जिस को
तदबीर का राज़ पा रहा है

आवाज़ से आग लग रही है
मुतरिब है कि गीत गा रहा है

एहसास-ए-शिकस्त-ओ-कामरानी
आईने कई दिखा रहा है

वो ख़ाक-नशीं 'ज़फ़र' है यारो
जो सू-ए-फ़लक भी जा रहा है

- Ahmad Zafar
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari