tanhaai ne par failaaye raat ne apni zulfen | तन्हाई ने पर फैलाए रात ने अपनी ज़ुल्फ़ें

  - Ahmad Zafar

tanhaai ne par failaaye raat ne apni zulfen
palkon par ham taare le kar chaand ka rasta dekhen

ye duniya hai is duniya ka rang badalta jaaye
us parbat se paanv fissle jis parbat ko choo len

kaise pyaas bujhaate dariya ret ka dariya nikla
lehar lehar mein mauj chhupi thi dhoke mein thi aankhen

jis ko man ka meet banaya aakhir dushman thehra
kis kis ko ham meet banaayein kis kis se ham uljhen

loha sona ban saka hai patthar heera moti
soch samajh ki baat hai saari kuchh sochen kuchh samjhen

apna dard bhula den ai dil us ke dard ki khaatir
apne ghaav yaad na aayein chaand ka ghaav dekhen

तन्हाई ने पर फैलाए रात ने अपनी ज़ुल्फ़ें
पलकों पर हम तारे ले कर चाँद का रस्ता देखें

ये दुनिया है इस दुनिया का रंग बदलता जाए
उस पर्बत से पाँव फिस्ले जिस पर्बत को छू लें

कैसे प्यास बुझाते दरिया रेत का दरिया निकला
लहर लहर में मौज छुपी थी धोके में थी आँखें

जिस को मन का मीत बनाया आख़िर दुश्मन ठहरा
किस किस को हम मीत बनाएँ किस किस से हम उलझें

लोहा सोना बन सकता है पत्थर हीरा मोती
सोच समझ की बात है सारी कुछ सोचें कुछ समझें

अपना दर्द भुला दें ऐ दिल उस के दर्द की ख़ातिर
अपने घाव याद न आएँ चाँद का घाव देखें

  - Ahmad Zafar

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari