ye tera khayal hai ki tu hai
jo kuchh bhi hai meri aarzoo hai
dil pahluu mein jal raha hai jaise
ye kaisi bahaar-e-rang-o-boo hai
taqdeer mein shab likhi gai thi
kehne ko ye zulf-e-mushkboo hai
vo dasht-e-khizaan se bach gaya hai
jis phool mein rang hai na boo hai
patthar ko taraash kar bhi dekho
ye fan bhi khuda ki justuju hai
pardes hai shehar shehar mera
aghyaar ki jis mein aabroo hai
taqdees ke sar mein khaak dekhi
tahzeeb ke haath mein suboo hai
main jeene se tang aa gaya hoon
ai maut suboot de ki tu hai
dekho to zafar kahaan hai yaaro
deewane ka zikr koo-b-koo hai
ये तेरा ख़याल है कि तू है
जो कुछ भी है मेरी आरज़ू है
दिल पहलू में जल रहा है जैसे
ये कैसी बहार-ए-रंग-ओ-बू है
तक़दीर में शब लिखी गई थी
कहने को ये ज़ुल्फ़-ए-मुश्कबू है
वो दस्त-ए-ख़िज़ाँ से बच गया है
जिस फूल में रंग है न बू है
पत्थर को तराश कर भी देखो
ये फ़न भी ख़ुदा की जुस्तुजू है
परदेस है शहर शहर मेरा
अग़्यार की जिस में आबरू है
तक़्दीस के सर में ख़ाक देखी
तहज़ीब के हाथ में सुबू है
मैं जीने से तंग आ गया हूँ
ऐ मौत सुबूत दे कि तू है
देखो तो 'ज़फ़र' कहाँ है यारो
दीवाने का ज़िक्र कू-ब-कू है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Zafar
our suggestion based on Ahmad Zafar
As you were reading Raat Shayari Shayari