taras raha hoon qaraar-e-dil-o-nazar ke liye | तरस रहा हूँ क़रार-ए-दिल-ओ-नज़र के लिए

  - Ahmad Zafar

taras raha hoon qaraar-e-dil-o-nazar ke liye
sukoot-e-shab mein dua jis tarah sehar ke liye

main khaak-e-raah-guzar hoon ki masnad-e-gul hoon
ik iztiraab-e-musalsal hai umr bhar ke liye

shajar ki jin se udaasi tapakti rahti hai
ye sang-e-meel hain shaayad meri nazar ke liye

jamaal-e-dost ko mash'al bana liya main ne
wafa ki rakht-e-safar hai mere safar ke liye

tire khayal ka aivaan lahu se raushan hai
meri nazar ka ujaala hai raahguzaar ke liye

shikast jis se zamaana larzata rehta hai
wahi naved-e-masarrat bhi hai zafar ke liye

तरस रहा हूँ क़रार-ए-दिल-ओ-नज़र के लिए
सुकूत-ए-शब में दुआ जिस तरह सहर के लिए

मैं ख़ाक-ए-राह-गुज़र हूँ कि मसनद-ए-गुल हूँ
इक इज़्तिराब-ए-मुसलसल है उम्र भर के लिए

शजर कि जिन से उदासी टपकती रहती है
ये संग-ए-मील हैं शायद मिरी नज़र के लिए

जमाल-ए-दोस्त को मशअ'ल बना लिया मैं ने
वफ़ा कि रख़्त-ए-सफ़र है मिरे सफ़र के लिए

तिरे ख़याल का ऐवाँ लहू से रौशन है
मिरी नज़र का उजाला है रहगुज़र के लिए

शिकस्त जिस से ज़माना लरज़ता रहता है
वही नवेद-ए-मसर्रत भी है 'ज़फ़र' के लिए

  - Ahmad Zafar

Bekhayali Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Bekhayali Shayari Shayari