aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga | और क्या मेरे लिए अरसा-ए-महशर होगा - Ahmad Zafar

aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga
main shajar hoonga tire haath mein patthar hoga

yun bhi guzrengi tire hijr mein raatein meri
chaand bhi jaise mere seene mein khanjar hoga

zindagi kya hai kai baar ye socha main ne
khwaab se pehle kisi khwaab ka manzar hoga

haath failaaye hue shaam jahaan aayegi
band hota hua darwaazaa-e-khaavar hoga

main kisi paas ke sehra mein bikhar jaaunga
tu kisi daur ke saahil ka samundar hoga

vo mera shehar nahin shehr-e-khamaoshaan ki tarah
jis mein har shakhs ka marna hi muqaddar hoga

kaun doobega kise paar utarna hai zafar
faisla waqt ke dariya mein utar kar hoga

और क्या मेरे लिए अरसा-ए-महशर होगा
मैं शजर हूँगा तिरे हाथ में पत्थर होगा

यूँ भी गुज़रेंगी तिरे हिज्र में रातें मेरी
चाँद भी जैसे मिरे सीने में ख़ंजर होगा

ज़िंदगी क्या है कई बार ये सोचा मैं ने
ख़्वाब से पहले किसी ख़्वाब का मंज़र होगा

हाथ फैलाए हुए शाम जहाँ आएगी
बंद होता हुआ दरवाज़ा-ए-ख़ावर होगा

मैं किसी पास के सहरा में बिखर जाऊँगा
तू किसी दौर के साहिल का समुंदर होगा

वो मिरा शहर नहीं शहर-ए-ख़मोशाँ की तरह
जिस में हर शख़्स का मरना ही मुक़द्दर होगा

कौन डूबेगा किसे पार उतरना है 'ज़फ़र'
फ़ैसला वक़्त के दरिया में उतर कर होगा

- Ahmad Zafar
0 Likes

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari