siyaah raat ki har dilkashi ko bhool gaye | सियाह रात की हर दिलकशी को भूल गए

  - Ahmad Zafar

siyaah raat ki har dilkashi ko bhool gaye
diye jala ke humeen raushni ko bhool gaye

kisi kali ke tabassum ne bekli di hai
kali hasi to ham apni hasi ko bhool gaye

jahaan mein aur rah-o-rasm-e-aashiqi kya hai
fareb-khurda tiri be-rukhi ko bhool gaye

yahi hai sheva-e-ahl-e-wafaa zamaane mein
kisi ko dil se lagaaya kisi ko bhool gaye

zara si baat pe daaman chhuda liya ham se
tamaam umr ki vaabastagi ko bhool gaye

khuda-parast khuda se to lau lagaate rahe
khuda ki shaan magar aadmi ko bhool gaye

vo jis ke gham ne gham-e-zindagi diya hai zafar
usi ke gham mein gham-e-zindagi ko bhool gaye

सियाह रात की हर दिलकशी को भूल गए
दिए जला के हमीं रौशनी को भूल गए

किसी कली के तबस्सुम ने बेकली दी है
कली हँसी तो हम अपनी हँसी को भूल गए

जहाँ में और रह-ओ-रस्म-ए-आशिक़ी क्या है
फ़रेब-ख़ुर्दा तिरी बे-रुख़ी को भूल गए

यही है शेवा-ए-अहल-ए-वफ़ा ज़माने में
किसी को दिल से लगाया किसी को भूल गए

ज़रा सी बात पे दामन छुड़ा लिया हम से
तमाम उम्र की वाबस्तगी को भूल गए

ख़ुदा-परस्त ख़ुदा से तो लौ लगाते रहे
ख़ुदा की शान मगर आदमी को भूल गए

वो जिस के ग़म ने ग़म-ए-ज़िंदगी दिया है 'ज़फ़र'
उसी के ग़म में ग़म-ए-ज़िंदगी को भूल गए

  - Ahmad Zafar

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari