us ne toda jahaan koi paimaan | उस ने तोड़ा जहाँ कोई पैमाँ

  - Ahmad Zafar

us ne toda jahaan koi paimaan
marhale aur ho gaye aasaan

meer hai koi koi hai sultaan
sochta hoon kahaan gaya insaan

aandhiyon mein jala rahe the charaagh
haaye vo log be-sar-o-samaan

falsafi falsafon mein doob gaye
aadmi ka lahu raha arzaan

abr ban kar baras hi jaayega
khet se jab utha gham-e-dahaqan

shola-e-gul hai zakhm-e-dil ki tarah
ye chaman mein bahaar hai ki khizaan

seena-e-sang mein bhi phool khile
gham jahaan bhi hua gham-e-pinhan

dil ki aazurdagi na pooch zafar
baat mere liye hai sang-e-giraan

उस ने तोड़ा जहाँ कोई पैमाँ
मरहले और हो गए आसाँ

मीर है कोई कोई है सुल्ताँ
सोचता हूँ कहाँ गया इंसाँ

आँधियों में जला रहे थे चराग़
हाए वो लोग बे-सर-ओ-सामाँ

फ़लसफ़ी फ़लसफ़ों में डूब गए
आदमी का लहू रहा अर्ज़ां

अब्र बन कर बरस ही जाएगा
खेत से जब उठा ग़म-ए-दहक़ाँ

शो'ला-ए-गुल है ज़ख़्म-ए-दिल की तरह
ये चमन में बहार है कि ख़िज़ाँ

सीना-ए-संग में भी फूल खिले
ग़म जहाँ भी हुआ ग़म-ए-पिन्हाँ

दिल की आज़ुर्दगी न पूछ 'ज़फ़र'
बात मेरे लिए है संग-ए-गिराँ

  - Ahmad Zafar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari