yun zamaane mein mera jism bikhar jaayega | यूँ ज़माने में मिरा जिस्म बिखर जाएगा - Ahmad Zafar

yun zamaane mein mera jism bikhar jaayega
mere anjaam se har phool nikhar jaayega

jaam khaali hai suraahi se lahu bahta hai
aaj ki raat vo mahtaab kidhar jaayega

sail-e-giryaa meri aankhon se ye kah jaata hai
bastiyaan royen to diya bhi utar jaayega

to koi abr-e-guhar-baar samundar ke liye
dil ke sehra se jo chup-chaap guzar jaayega

aaj ye zulf-e-pareshaan hai zamaane ke liye
kal yahi daur kisi taur sanwar jaayega

teri har baat pe mar jaata hoon marta bhi nahin
ki meri maut mein insaan koi mar jaayega

ashk moti se bikhar jaayenge raahon mein jahaan
soo-e-manzil bhi mera deeda-e-tar jaayega

main makeen hoon na makaan shahr-e-mohabbat ka zafar
dil musaafir na kisi gair ke ghar jaayega

यूँ ज़माने में मिरा जिस्म बिखर जाएगा
मिरे अंजाम से हर फूल निखर जाएगा

जाम ख़ाली है सुराही से लहू बहता है
आज की रात वो महताब किधर जाएगा

सैल-ए-गिर्या मिरी आँखों से ये कह जाता है
बस्तियाँ रोएँ तो दिया भी उतर जाएगा

तो कोई अब्र-ए-गुहर-बार समुंदर के लिए
दिल के सहरा से जो चुप-चाप गुज़र जाएगा

आज ये ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ है ज़माने के लिए
कल यही दौर किसी तौर सँवर जाएगा

तेरी हर बात पे मर जाता हूँ मरता भी नहीं
कि मिरी मौत में इंसाँ कोई मर जाएगा

अश्क मोती से बिखर जाएँगे राहों में जहाँ
सू-ए-मंज़िल भी मिरा दीदा-ए-तर जाएगा

मैं मकीं हूँ न मकाँ शहर-ए-मोहब्बत का 'ज़फ़र'
दिल मुसाफ़िर न किसी ग़ैर के घर जाएगा

- Ahmad Zafar
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari