kisi parinde ki waapsi ka safar meri khaak mein milega | किसी परिंदे की वापसी का सफ़र मिरी ख़ाक में मिलेगा

  - Ahmad Zafar

kisi parinde ki waapsi ka safar meri khaak mein milega
main chup rahoonga shajar ki soorat shajar meri khaak mein milega

udaas aankhen sulagte chehron ki mujh ko awaaz de rahi hain
kabhi jo aabaad rah chuka hai vo ghar meri khaak mein milega

lahu ki baarish mein zard phoolon ki pattiyon se likha gaya hoon
main lafz ka zaa'ika zabaan par asar meri khaak mein milega

dayaar-e-shab ke bhatkte raahi shikaar-e-tashkeek-o-kam-nigaahi
alaav raushan kahi jo kar de sharar meri khaak mein milega

azal se suraj abad mein talash jis ko karta hua gaya hai
sadaf zameen hai to zindagi ka guhar meri khaak mein milega

vo bastiyaan jo tabaahiyon mein numoo ki tasveer ban gai hain
vujood jin ka kahi nahin hai magar meri khaak mein milega

main chashm-e-pur-nam ki mishalon se charaagh-e-fardaa jala raha hoon
ki naqsh-e-irfaan-o-aagahi bhi zafar meri khaak mein milega

किसी परिंदे की वापसी का सफ़र मिरी ख़ाक में मिलेगा
मैं चुप रहूँगा शजर की सूरत शजर मिरी ख़ाक में मिलेगा

उदास आँखें सुलगते चेहरों की मुझ को आवाज़ दे रही हैं
कभी जो आबाद रह चुका है वो घर मिरी ख़ाक में मिलेगा

लहू की बारिश में ज़र्द फूलों की पत्तियों से लिखा गया हूँ
मैं लफ़्ज़ का ज़ाइक़ा ज़बाँ पर असर मिरी ख़ाक में मिलेगा

दयार-ए-शब के भटकते राही शिकार-ए-तश्कीक-ओ-कम-निगाही
अलाव रौशन कहीं जो कर दे शरर मिरी ख़ाक में मिलेगा

अज़ल से सूरज अबद में तलाश जिस को करता हुआ गया है
सदफ़ ज़मीं है तो ज़िंदगी का गुहर मिरी ख़ाक में मिलेगा

वो बस्तियाँ जो तबाहियों में नुमू की तस्वीर बन गई हैं
वजूद जिन का कहीं नहीं है मगर मिरी ख़ाक में मिलेगा

मैं चश्म-ए-पुर-नम की मिशअलों से चराग़-ए-फ़र्दा जला रहा हूँ
कि नक़्श-ए-इरफ़ान-ओ-आगही भी 'ज़फ़र' मिरी ख़ाक में मिलेगा

  - Ahmad Zafar

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari