kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hoon main | क्या पता किस जुर्म की किस को सज़ा देता हूँ मैं - Ahmad Zafar

kya pata kis jurm ki kis ko saza deta hoon main
rang sa ik baandhta hoon phir bhula deta hoon main

apne aage ab to main khud bhi thehar saka nahin
saamna hote hi chutki mein uda deta hoon main

mo'jiza agla to ab shaayad puraana ho chala
dekhna ab ke koi chakkar naya deta hoon main

mujh se aage bhi nikal jaana bahut mushkil nahin
aaj-kal aahista-rau hoon raasta deta hoon main

shor sa uthata hai aur uthte hi dab jaata hai ab
harf sa likhne se pehle hi mita deta hoon main

taaki meri sulh-jooi ko lage kuch bhaav bhi
har naye fitne ko dar-parda hawa deta hoon main

baat bhi sunta nahin hoon vasl mein dil ki zafar
aise khar-masto'n ko mehfil se utha deta hoon main

क्या पता किस जुर्म की किस को सज़ा देता हूँ मैं
रंग सा इक बाँधता हूँ फिर भुला देता हूँ मैं

अपने आगे अब तो मैं ख़ुद भी ठहर सकता नहीं
सामना होते ही चुटकी में उड़ा देता हूँ मैं

मो'जिज़ा अगला तो अब शायद पुराना हो चला
देखना अब के कोई चक्कर नया देता हूँ मैं

मुझ से आगे भी निकल जाना बहुत मुश्किल नहीं
आज-कल आहिस्ता-रौ हूँ रास्ता देता हूँ मैं

शोर सा उठता है और उठते ही दब जाता है अब
हर्फ़ सा लिखने से पहले ही मिटा देता हूँ मैं

ताकि मेरी सुल्ह-जूई को लगे कुछ भाव भी
हर नए फ़ित्ने को दर-पर्दा हवा देता हूँ मैं

बात भी सुनता नहीं हूँ वस्ल में दिल की 'ज़फ़र'
ऐसे ख़र-मस्तों को महफ़िल से उठा देता हूँ मैं

- Ahmad Zafar
0 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari