machliyon ka zindaan hai martabaan sheeshe ka | मछलियों का ज़िंदाँ है मर्तबान शीशे का

  - Ahmad Zafar

machliyon ka zindaan hai martabaan sheeshe ka
dekh saath rangon mein ye jahaan sheeshe ka

saans le rahe the tum ek aisi duniya mein
thi zameen patthar ki aasmaan sheeshe ka

ek bante jaate hain phool aashnaai ke
chaanv de nahin saka saayebaan sheeshe ka

aansuon ki baarish mein choor choor hota hai
aarzoo banaati hai jo makaan sheeshe ka

zindagi ki raahon mein aag ban ke bikhra hai
vo jo ek lamha tha meri jaan sheeshe ka

is jahaan mein ham shaayad phool ki mahak mein hon
ye jahaan zafar dekha khaak-daan sheeshe ka

मछलियों का ज़िंदाँ है मर्तबान शीशे का
देख सात रंगों में ये जहान शीशे का

साँस ले रहे थे तुम एक ऐसी दुनिया में
थी ज़मीन पत्थर की आसमान शीशे का

एक बनते जाते हैं फूल आश्नाई के
छाँव दे नहीं सकता साएबान शीशे का

आँसुओं की बारिश में चूर चूर होता है
आरज़ू बनाती है जो मकान शीशे का

ज़िंदगी की राहों में आग बन के बिखरा है
वो जो एक लम्हा था मेरी जान शीशे का

इस जहाँ में हम शायद फूल की महक में हों
ये जहाँ 'ज़फ़र' देखा ख़ाक-दान शीशे का

  - Ahmad Zafar

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari