apni ulfat ki saza mil rahi hai | अपनी उल्फ़त की सज़ा मिल रही है

  - Faiz Ahmad

apni ulfat ki saza mil rahi hai
jaan-e-jaan se bad-dua mil rahi hai

be-khudi hai be-rukhi hai khalish hai
ishq karne ki jazaa mil rahi hai

zakham marham ban gaye hain ye saare
dard se mujhko dava mil rahi hai

kaun hai jaane vo khush-bakht jisko
is mohabbat mein wafa mil rahi hai

kya karunga main phir is zindagi ka
jo mujhe tere bina mil rahi hai

uske haathon ki bani chaai ahmad
ab kahaan aisi dava mil rahi hai

अपनी उल्फ़त की सज़ा मिल रही है
जान-ए-जाँ से बद-दुआ मिल रही है

बे-ख़ुदी है बे-रुख़ी है ख़लिश है
इश्क़ करने की जज़ा मिल रही है

ज़ख़्म मरहम बन गए हैं ये सारे
दर्द से मुझको दवा मिल रही है

कौन है जाने वो ख़ुश-बख़्त जिसको
इस मोहब्बत में वफ़ा मिल रही है

क्या करूँंगा मैं फिर इस ज़िन्दगी का
जो मुझे तेरे बिना मिल रही है

उसके हाथों की बनी चाय 'अहमद'
अब कहाँ ऐसी दवा मिल रही है

  - Faiz Ahmad

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari