bahut hi aajiz-o-muflis dil-e-faakir ke saath | बहुत ही आजिज़-ओ-मुफ़्लिस दिल-ए-फ़कीर के साथ - Faiz Ahmad

bahut hi aajiz-o-muflis dil-e-faakir ke saath
karega kaun bhala ishq is hakeer ke saath

tiri quyood mein sab ko sukoon milta hai
mazid waqt guzaara na kar aseer ke saath

humein to baandh ke rakha hai jaan kar is mein
hamaara koi taalluq nahin shareer ke saath

unhen to saaqi bhi jhuk kar sharaab deta hai
mujhe bhi rabt badhaana hai ik ameer ke saath

khabar mili to mujhe daar par chadha denge
ki shaahzaadi mohabbat na kar wazeer ke saath

tabeeb dhyaan se kheench is ko zakham gahra hai
kahi ye dil na nikal aaye tere teer ke saath

tiri ye aankhen basaarat na cheen len meri
tu be-naqaab na aa apni chashm-geer ke saath

hamaare dil ke bhi saath ab wahi kiya ahmad
jo ishq ne kiya tha ghalib aur meer ke saath

बहुत ही आजिज़-ओ-मुफ़्लिस दिल-ए-फ़कीर के साथ
करेगा कौन भला इश्क़ इस हकीर के साथ

तिरी कु़यूद में सब को सुकून मिलता है
मज़ीद वक़्त गुज़ारा न कर असीर के साथ

हमें तो बाँध के रक्खा है जान कर इस में
हमारा कोई तअल्लुक़ नहीं शरीर के साथ

उन्हें तो साक़ी भी झुक कर शराब देता है
मुझे भी रब्त बढ़ाना है इक अमीर के साथ

ख़बर मिली तो मुझे दार पर चढ़ा देंगे
कि शाहज़ादी मोहब्बत न कर वज़ीर के साथ

तबीब ध्यान से खींच इस को ज़ख़्म गहरा है
कहीं ये दिल न निकल आए तेरे तीर के साथ

तिरी ये आँखें बसारत न छीन लें मेरी
तू बे-नक़ाब न आ अपनी चश्म-गीर के साथ

हमारे दिल के भी साथ अब वही किया 'अहमद'
जो इश्क़ ने किया था ग़ालिब और मीर के साथ

- Faiz Ahmad
1 Like

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari