doobne waale ko tinke ka sahaara de de | डूबने वाले को तिनके का सहारा दे दे

  - Faiz Ahmad

doobne waale ko tinke ka sahaara de de
ho sake to mujhe bhi ek kinaara de de

laut aaunga tiri samt ko tauba karne
ai mere rab mujhe vo shakhs dobara de de

kisi soorat nahin chal pa raha hoon leke tujhe
zindagi maut ke kaandhon ka sahaara de de

baitha hoon ab bhi tiri raah mein ulfat ko liye
khuda mujh se tujhe vo ishq dobara de de

dil ko aa jaaye mere chain tire aane ka
kam se kam raahat-e-jaan koi ishaara de de

ek muddat se tiri justuju mein hoon masroof
meri is vasl ki kashti ko kinaara de de

डूबने वाले को तिनके का सहारा दे दे
हो सके तो मुझे भी एक किनारा दे दे

लौट आऊँगा तिरी सम्त को तौबा करने
ऐ मिरे रब मुझे वो शख़्स दोबारा दे दे

किसी सूरत नहीं चल पा रहा हूँ लेके तुझे
ज़िन्दगी मौत के काँधों का सहारा दे दे

बैठा हूँ अब भी तिरी राह में उलफ़त को लिए
खु़दा मुझ से तुझे वो इश्क़ दोबारा दे दे

दिल को आ जाए मिरे चैन तिरे आने का
कम से कम राहत-ए-जाँ कोई इशारा दे दे

एक मुद्दत से तिरी जुस्तुजू में हूँ मसरूफ
मेरी इस वस्ल की कश्ती को किनारा दे दे

  - Faiz Ahmad

Khudkushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Khudkushi Shayari Shayari