takhayyulaat ke aangan mein jag-magaati hai vo
kuchh aise meri ghazal ko ghazal banaati hai vo
juda to ho gaye hain lekin ab bhi dost hain ham
ye sach nahin magar iska yaqeen dilaati hai vo
barsh se uski hi tasveer ko banata hua
kuchh is tarah meri tasveer ko banaati hai vo
rahi na neend mein raahat na jaagne mein sukoon
khayal-o-khwaab mein aa kar bahut sataati hai vo
mujhe khabar hai tamaam aashikon ki uske magar
kisi se rabt nahin hai yahi bataati hai vo
bichhad ke ishq mein kis tarah khush raha jaaye
main laakh pooch luun ahmad nahin bataati hai vo
तख़य्युलात के आँगन में जग-मगाती है वो
कुछ ऐसे मेरी ग़ज़ल को ग़ज़ल बनाती है वो
जुदा तो हो गए हैं लेकिन अब भी दोस्त हैं हम
ये सच नहीं मगर इसका यक़ीं दिलाती है वो
बरश से उसकी ही तस्वीर को बनाता हुआ
कुछ इस तरह मिरी तस्वीर को बनाती है वो
रही न नींद में राहत, न जागने में सुकून
ख़याल-ओ-ख़्वाब में आ कर बहुत सताती है वो
मुझे ख़बर है तमाम आशिकों की उसके, मगर
किसी से रब्त नहीं है यही बताती है वो
बिछड़ के इश्क़ में किस तरह ख़ुश रहा जाए
मैं लाख पूछ लूँ 'अहमद' नहीं बताती है वो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Akhbaar Shayari Shayari