na poocho mujhse meri kahaani ke baare mein | न पूछो मुझसे मिरी कहानी के बारे में

  - Faiz Ahmad

na poocho mujhse meri kahaani ke baare mein
ke waqia ye hai be-dahaani ke baare mein

jo sochta hai juda nahin vo hogi kabhi
use batao kuchh naa-gahaani ke baare mein

ki shaahzaadi bataaya poocha jisne kabhi
mujhe tire naam ke maani ke baare mein

ke chal rahi thi meri kahaani jiske sabab
vo khud tha anjaan us kahaani ke baare mein

mai aur kya rakhta uske aage dil ke siva
jab usne poocha hi tha nishaani ke baare mein

ki ik mohabbat mein padhke khatm ho jaati hai
yahi bata saka hoon jawaani ke baare mein

mere bina aik pal jo rah nahin sakti thi
mai kya bataoon ab us divaani ke baare mein

bahut tajurba mila hai ishq se mujhko bhi
karo na baatein mehr nibhaani ke baare mein

jo teri aankhon se faiz chashma ban foota tha
sabhi bataate hain us kahaani ke baare mein

न पूछो मुझसे मिरी कहानी के बारे में
के वाक़िआ ये है बे-दहानी के बारे में

जो सोचता है जुदा नहीं वो होगी कभी
उसे बताओ कुछ ना-गहानी के बारे में

कि शाहज़ादी बताया पूछा जिसने कभी
मुझे तिरे नाम के मआनी के बारे में

के चल रही थी मिरी कहानी जिसके सबब
वो खुद था अनजान उस कहानी के बारे में

मै और क्या रखता उसके आगे दिल के सिवा
जब उसने पूछा ही था निशानी के बारे में

कि इक मोहब्बत में पढ़के खत्म हो जाती है
यही बता सकता हूं जवानी के बारे में

मिरे बिना ऐक पल जो रह नहीं सकती थी
मै क्या बताऊं अब उस दिवानी के बारे में

बहुत तजुर्बा मिला है इश्क़ से मुझको भी
करो न बातें महर निभानी के बारे में

जो तेरी आंखों से फ़ैज़ चश्मा बन फूटा था
सभी बताते हैं उस कहानी के बारे में

  - Faiz Ahmad

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari