so hashr mein liye dil-e-hasrat ma'aab mein
aabaad ho raha hoon jahaan-e-kharaab mein
ham apni be-qaraari-e-dil se hain be-qaraar
aamezish-e-sukoon hai is iztiraab mein
ab sair-e-gul kahaan dil-e-rangeen nazar kahaan
ik khwaab tha jo dekh liya tha shabaab mein
badh badh ke chhup rahe hain pas parda baar baar
kya kya takallufaat hain tark-e-hijaab mein
ahsan dil un ko do magar itna to pooch lo
lete ho tum ye naqd raqam kis hisaab mein
सो हश्र में लिए दिल-ए-हसरत मआब में
आबाद हो रहा हूँ जहान-ए-ख़राब में
हम अपनी बे-क़रारी-ए-दिल से हैं बे-क़रार
आमेज़़िश-ए-सुकूँ है इस इज़्तिराब में
अब सैर-ए-गुल कहाँ दिल-ए-रंगीं नज़र कहाँ
इक ख़्वाब था जो देख लिया था शबाब में
बढ़ बढ़ के छुप रहे हैं पस पर्दा बार बार
क्या क्या तकल्लुफ़ात हैं तर्क-ए-हिजाब में
'अहसन' दिल उन को दो मगर इतना तो पूछ लो
लेते हो तुम ये नक़्द रक़म किस हिसाब में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Marahravi
our suggestion based on Ahsan Marahravi
As you were reading Nazar Shayari Shayari