kaaghaz ki naav hoon jise tinka dubo sake | काग़ज़ की नाव हूँ जिसे तिनका डुबो सके - Ahsan Yusuf Zai

kaaghaz ki naav hoon jise tinka dubo sake
yun bhi nahin ki aap se ye bhi na ho sake

barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas
itna to hai ki aap ka daaman bhigo sake

ai cheekhti hawao ke sailaab shukriya
itna to ho ki aadmi sooli pe so sake

dariya pe band baandh kar roko jagah jagah
aisa na ho ki aadmi jee bhar ke ro sake

halki si raushni ke farishte hain aas-paas
palkon mein boond boond jahaan tak piro sake

काग़ज़ की नाव हूँ जिसे तिनका डुबो सके
यूँ भी नहीं कि आप से ये भी न हो सके

बरसात थम चुकी है मगर हर शजर के पास
इतना तो है कि आप का दामन भिगो सके

ऐ चीख़ती हवाओ के सैलाब शुक्रिया
इतना तो हो कि आदमी सूली पे सो सके

दरिया पे बंद बाँध कर रोको जगह जगह
ऐसा न हो कि आदमी जी भर के रो सके

हल्की सी रौशनी के फ़रिश्ते हैं आस-पास
पलकों में बूँद बूँद जहाँ तक पिरो सके

- Ahsan Yusuf Zai
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Yusuf Zai

As you were reading Shayari by Ahsan Yusuf Zai

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Yusuf Zai

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari