ghoom-fir kar isee kooche ki taraf aayenge
dil se nikle bhi agar ham to kahaan jaayenge
ham ko maaloom tha ye waqt bhi aa jaayega
haan magar ye nahin socha tha ki pachhtaayenge
ye bhi tay hai ki jo boenge vo kaatenge yahan
aur ye bhi ki jo khoyenge wahi paayenge
kabhi furqat se milo to tumhein tafseel ke saath
imtiyaaz-e-hawas-o-ishq bhi samjhaayenge
kah chuke ham hamein itna hi faqat kehna tha
aap farmaiye kuchh aap bhi farmaayenge
ek din khud ko nazar aayenge ham bhi ajmal
ek din apni hi awaaz se takraayenge
घूम-फिर कर इसी कूचे की तरफ़ आएँगे
दिल से निकले भी अगर हम तो कहाँ जाएँगे
हम को मालूम था ये वक़्त भी आ जाएगा
हाँ मगर ये नहीं सोचा था कि पछताएँगे
ये भी तय है कि जो बोएँगे वो काटेंगे यहाँ
और ये भी कि जो खोएँगे वही पाएँगे
कभी फ़ुर्सत से मिलो तो तुम्हें तफ़्सील के साथ
इम्तियाज़-ए-हवस-ओ-इश्क़ भी समझाएँगे
कह चुके हम हमें इतना ही फ़क़त कहना था
आप फ़रमाइए कुछ आप भी फ़रमाएँगे
एक दिन ख़ुद को नज़र आएँगे हम भी 'अजमल'
एक दिन अपनी ही आवाज़ से टकराएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajmal Siraj
our suggestion based on Ajmal Siraj
As you were reading Nigaah Shayari Shayari