aankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete | आँखें मुझे तलवों से वो मलने नहीं देते

  - Akbar Allahabadi

aankhen mujhe talvon se vo malne nahin dete
armaan mere dil ke nikalne nahin dete

khaatir se tiri yaad ko talne nahin dete
sach hai ki humeen dil ko sambhalne nahin dete

kis naaz se kahte hain vo jhunjhla ke shab-e-wasl
tum to hamein karvat bhi badlne nahin dete

parvaanon ne faanoos ko dekha to ye bole
kyun ham ko jalate ho ki jalne nahin dete

hairaan hoon kis tarah karoon arz-e-tamanna
dushman ko to pahluu se vo talne nahin dete

dil vo hai ki fariyaad se labreiz hai har waqt
ham vo hain ki kuchh munh se nikalne nahin dete

garmi-e-mohabbat mein vo hain aah se maane
pankha nafs-e-sard ka jhalne nahin dete

आँखें मुझे तलवों से वो मलने नहीं देते
अरमान मिरे दिल के निकलने नहीं देते

ख़ातिर से तिरी याद को टलने नहीं देते
सच है कि हमीं दिल को सँभलने नहीं देते

किस नाज़ से कहते हैं वो झुँझला के शब-ए-वस्ल
तुम तो हमें करवट भी बदलने नहीं देते

परवानों ने फ़ानूस को देखा तो ये बोले
क्यूँ हम को जलाते हो कि जलने नहीं देते

हैरान हूँ किस तरह करूँ अर्ज़-ए-तमन्ना
दुश्मन को तो पहलू से वो टलने नहीं देते

दिल वो है कि फ़रियाद से लबरेज़ है हर वक़्त
हम वो हैं कि कुछ मुँह से निकलने नहीं देते

गर्मी-ए-मोहब्बत में वो हैं आह से माने'
पंखा नफ़स-ए-सर्द का झलने नहीं देते

  - Akbar Allahabadi

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari