aaina-e-nigaah mein aks-e-shabaab hai | आईना-ए-निगाह में अक्स-ए-शबाब है - Akhtar Ansari

aaina-e-nigaah mein aks-e-shabaab hai
duniya samajh rahi hai ki aankhon mein khwaab hai

roye baghair chaara na rone ki taab hai
kya cheez uf ye kaifiyat-e-iztiraab hai

ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main jawaan hoon
ai dard-e-la-ilaaj ye umr-e-shabaab hai

आईना-ए-निगाह में अक्स-ए-शबाब है
दुनिया समझ रही है कि आँखों में ख़्वाब है

रोए बग़ैर चारा न रोने की ताब है
क्या चीज़ उफ़ ये कैफ़ियत-ए-इज़्तिराब है

ऐ सोज़-ए-जाँ-गुदाज़ अभी मैं जवान हूँ
ऐ दर्द-ए-ला-इलाज ये उम्र-ए-शबाब है

- Akhtar Ansari
0 Likes

Jawani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Jawani Shayari Shayari