cheer kar seene ko rakh de gar na paaye gham-gusaar | चीर कर सीने को रख दे गर न पाए ग़म-गुसार

  - Akhtar Ansari

cheer kar seene ko rakh de gar na paaye gham-gusaar
dil ki baatein dil hi se koi bayaan kab tak kare

mubtala-e-dard hone ki ye lazzat dekhiye
qissa-e-gham ho kisi ka dil mera dhak dhak kare

sab ki qismat ik na ik din jaagti hai haan baja
zindagi kyun kar guzaare vo jo is mein shak kare

चीर कर सीने को रख दे गर न पाए ग़म-गुसार
दिल की बातें दिल ही से कोई बयाँ कब तक करे

मुब्तला-ए-दर्द होने की ये लज़्ज़त देखिए
क़िस्सा-ए-ग़म हो किसी का दिल मिरा धक धक करे

सब की क़िस्मत इक न इक दिन जागती है हाँ बजा
ज़िंदगी क्यूँ कर गुज़ारे वो जो इस में शक करे

  - Akhtar Ansari

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari