sarshaar hoon chhalakte hue jaam ki qasam | सरशार हूँ छलकते हुए जाम की क़सम - Akhtar Ansari

sarshaar hoon chhalakte hue jaam ki qasam
mast-e-sharaab-e-shauq hoon khayyaam ki qasam

ishrat-farosh tha mera guzra hua shabaab
kehta hoon kha ke ishrat-e-ayyaam ki qasam

hoti thi subah-e-eid meri subh par nisaar
khaati thi shaam-e-aish meri shaam ki qasam

akhtar mazaq-e-dard ka maara hua hoon main
khaate hain ahl-e-dard mere naam ki qasam

सरशार हूँ छलकते हुए जाम की क़सम
मस्त-ए-शराब-ए-शौक़ हूँ ख़य्याम की क़सम

इशरत-फ़रोश था मिरा गुज़रा हुआ शबाब
कहता हूँ खा के इशरत-ए-अय्याम की क़सम

होती थी सुबह-ए-ईद मिरी सुब्ह पर निसार
खाती थी शाम-ए-ऐश मिरी शाम की क़सम

'अख़्तर' मज़ाक़-ए-दर्द का मारा हुआ हूँ मैं
खाते हैं अहल-ए-दर्द मिरे नाम की क़सम

- Akhtar Ansari
0 Likes

Jawani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Jawani Shayari Shayari