taba ishrat-pasand rakhta hoon
ik dil-e-dardmand rakhta hoon
bahut kehta nahin main pasti ko
apni fitrat buland rakhta hoon
chashm-e-baatin se dekhta hoon main
chashm-e-zaahir ko band rakhta hoon
lafz sheerin hain aur ma'ni talkh
zahar-aamez qand rakhta hoon
kaamyaabi muhaal hai akhtar
zauq itna buland rakhta hoon
तब्अ इशरत-पसंद रखता हूँ
इक दिल-ए-दर्दमंद रखता हूँ
बहुत कहता नहीं मैं पस्ती को
अपनी फ़ितरत बुलंद रखता हूँ
चश्म-ए-बातिन से देखता हूँ मैं
चश्म-ए-ज़ाहिर को बंद रखता हूँ
लफ़्ज़ शीरीं हैं और मअ'नी तल्ख़
ज़हर-आमेज़ क़ंद रखता हूँ
कामयाबी मुहाल है 'अख़्तर'
ज़ौक़ इतना बुलंद रखता हूँ
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading undefined Shayari