mohabbat karne waalon ke bahaar-afroz seenon mein | मोहब्बत करने वालों के बहार-अफ़रोज़ सीनों में

  - Akhtar Ansari

mohabbat karne waalon ke bahaar-afroz seenon mein
raha karti hai shaadaabi khizaan ke bhi maheenon mein

ziya-e-mehr aankhon mein hai tauba mah-jabeenon ke
ki fitrat ne bhara hai husn khud apna haseenon mein

hawaa-e-tund hai girdaab hai pur-shor dhaara hai
liye jaate hain zauq-e-afiyat si shay safeenon mein

main hansta hoon magar ai dost akshar hanste hue bhi
chhupaaye hote hain daagh aur naasoor apne seenon mein

main un mein hoon jo ho kar aastaan-e-dost se mahroom
liye firte hain sajdon ki tadap apni jabeenon mein

meri ghazlein padhen sab ahl-e-dil aur mast ho jaayen
may-e-jazbaat laaya hoon main lafzi aabgeenon mein

मोहब्बत करने वालों के बहार-अफ़रोज़ सीनों में
रहा करती है शादाबी ख़िज़ाँ के भी महीनों में

ज़िया-ए-मेहर आँखों में है तौबा मह-जबीनों के
कि फ़ितरत ने भरा है हुस्न ख़ुद अपना हसीनों में

हवा-ए-तुंद है गिर्दाब है पुर-शोर धारा है
लिए जाते हैं ज़ौक-ए-आफ़ियत सी शय सफ़ीनों में

मैं हँसता हूँ मगर ऐ दोस्त अक्सर हँसते हुए भी
छुपाए होते हैं दाग़ और नासूर अपने सीनों में

मैं उन में हूँ जो हो कर आस्तान-ए-दोस्त से महरूम
लिए फिरते हैं सज्दों की तड़प अपनी जबीनों में

मिरी ग़ज़लें पढ़ें सब अहल-ए-दिल और मस्त हो जाएँ
मय-ए-जज़्बात लाया हूँ मैं लफ़्ज़ी आबगीनों में

  - Akhtar Ansari

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari