apni ujadi hui duniya ki kahaani hoon main | अपनी उजड़ी हुई दुनिया की कहानी हूँ मैं

  - Akhtar Ansari

apni ujadi hui duniya ki kahaani hoon main
ek bigdi hui tasveer-e-jawaani hoon main

aag ban kar jo kabhi dil mein nihaan rehta tha
aaj duniya mein usi gham ki nishaani hoon main

haaye kya qahar hai marhoom jawaani ki yaad
dil se kahti hai ki khanjar ki rawaani hoon main

aalam-afroz tapish tere liye laaya hoon
ai gham-e-ishq tira ahad-e-jawaani hoon main

charkh hai naghmagar ayyaam hain nagme akhtar
daastaan-go hai gham-e-dehr kahaani hoon main

अपनी उजड़ी हुई दुनिया की कहानी हूँ मैं
एक बिगड़ी हुई तस्वीर-ए-जवानी हूँ मैं

आग बन कर जो कभी दिल में निहाँ रहता था
आज दुनिया में उसी ग़म की निशानी हूँ मैं

हाए क्या क़हर है मरहूम जवानी की याद
दिल से कहती है कि ख़ंजर की रवानी हूँ मैं

आलम-अफ़रोज़ तपिश तेरे लिए लाया हूँ
ऐ ग़म-ए-इश्क़ तिरा अहद-ए-जवानी हूँ मैं

चर्ख़ है नग़्मागर अय्याम हैं नग़्मे 'अख़्तर'
दास्ताँ-गो है ग़म-ए-दहर कहानी हूँ मैं

  - Akhtar Ansari

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari