khizaan mein aag lagao bahaar ke din hain
naye shagoofe khilao bahaar ke din hain
ult do takhta khizaan ki tabaah-kaari ka
bisaat-e-aish bichao bahaar ke din hain
ezaar-e-gul ki dahak se jala ke kaanton ko
lagi dilon ki bujhaao bahaar ke din hain
mila ke qatra-e-shabnam mein rang o nikhat-e-gul
koi sharaab banaao bahaar ke din hain
bhare katore chaman ke ye dars dete hain
chhalakte jaam loondhao bahaar ke din hain
ab ehtiyaat-pasandi hai saee-e-na-mashkoor
mata-e-zabt lutao bahaar ke din hain
sharaar-e-gul se zamaane mein shole bharka do
haseen fitne jagao bahaar ke din hain
junoon-e-shauq ki be-e'tidaaliyon ke khilaaf
koi daleel na laao bahaar ke din hain
puraani shamaein bujha deen saba ke jhonkon ne
naye charaagh jalao bahaar ke din hain
lachak rahi hai wufoor-e-samar se shaakh-e-hayaat
ye baar hans ke uthao bahaar ke din hain
janaab-e-akhtar-e-jaan-daada-e-rukh-e-gul ko
imaam-e-waqt banaao bahaar ke din hain
ख़िज़ाँ में आग लगाओ बहार के दिन हैं
नए शगूफ़े खिलाओ बहार के दिन हैं
उलट दो तख़्ता ख़िज़ाँ की तबाह-कारी का
बिसात-ए-ऐश बिछाओ बहार के दिन हैं
एज़ार-ए-गुल की दहक से जला के काँटों को
लगी दिलों की बुझाओ बहार के दिन हैं
मिला के क़तरा-ए-शबनम में रंग ओ निकहत-ए-गुल
कोई शराब बनाओ बहार के दिन हैं
भरे कटोरे चमन के ये दर्स देते हैं
छलकते जाम लूंढाओ बहार के दिन हैं
अब एहतियात-पसंदी है सई-ए-ना-मशकूर
मता-ए-ज़ब्त लुटाओ बहार के दिन हैं
शरार-ए-गुल से ज़माने में शोले भड़का दो
हसीन फ़ित्ने जगाओ बहार के दिन हैं
जुनून-ए-शौक़ की बे-ए'तिदालियों के ख़िलाफ़
कोई दलील न लाओ बहार के दिन हैं
पुरानी शमएँ बुझा दीं सबा के झोंकों ने
नए चराग़ जलाओ बहार के दिन हैं
लचक रही है वफ़ूर-ए-समर से शाख़-ए-हयात
ये बार हँस के उठाओ बहार के दिन हैं
जनाब-ए-अख़तर-ए-जाँ-दादा-ए-रुख़-ए-गुल को
इमाम-ए-वक़्त बनाओ बहार के दिन हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Festive Shayari Shayari