pur-kaif ziyaayein hoti hain pur-noor ujaale hote hain | पुर-कैफ़ ज़ियाएँ होती हैं पुर-नूर उजाले होते हैं - Akhtar Ansari

pur-kaif ziyaayein hoti hain pur-noor ujaale hote hain
jab khaak-basar dil hota hai aur arsh pe naale hote hain

hanste hain dahan-e-zakhm se hum gaate hain fugaan ke barbat par
aashufta-saron ki duniya ke sab dhang niraale hote hain

kya qahar barsta hai dil par saawan ki shabon mein kya kahiye
kuch dard ki fuwaarein hoti hain kuch yaas ke jhaale hote hain

in ujde hue armaanon ko kis shauq se dil ne seencha tha
barbaad magar hote hain wahi jo naam ke pale hote hain

chaahat ke sitam bardaasht karein mar mar ke jiein aur mar na saken
kya jaaniye kis mitti ke bane ye chaahne waale hote hain

dil tang na ho ai rah-rav-e-gham kaanton ke liye to kam se kam
maanind-e-naved-e-abr-e-karam ye paanv ke chaale hote hain

uf-re vo nazaakat lehje ki baatein jo nikalti hain munh se
ya chaand ki kirnen hoti hain ya barf ke gaale hote hain

ye dard-e-junoon ye soz-e-jigar in kaifiyaton ke gird akhtar
taskheer ke halke hon ki na hon taqdees ke haale hote hain

पुर-कैफ़ ज़ियाएँ होती हैं पुर-नूर उजाले होते हैं
जब ख़ाक-बसर दिल होता है और अर्श पे नाले होते हैं

हँसते हैं दहान-ए-ज़ख़्म से हम गाते हैं फ़ुग़ाँ के बरबत पर
आशुफ़्ता-सरों की दुनिया के सब ढंग निराले होते हैं

क्या क़हर बरसता है दिल पर सावन की शबों में क्या कहिए
कुछ दर्द की फुवारें होती हैं कुछ यास के झाले होते हैं

इन उजड़े हुए अरमानों को किस शौक़ से दिल ने सींचा था
बरबाद मगर होते हैं वही जो नाम के पाले होते हैं

चाहत के सितम बर्दाश्त करें मर मर के जिएँ और मर न सकें
क्या जानिए किस मिट्टी के बने ये चाहने वाले होते हैं

दिल तंग न हो ऐ रह-रव-ए-ग़म काँटों के लिए तो कम से कम
मानिंद-ए-नवेद-ए-अब्र-ए-करम ये पाँव के छाले होते हैं

उफ़-रे वो नज़ाकत लहजे की बातें जो निकलती हैं मुँह से
या चाँद की किरनें होती हैं या बर्फ़ के गाले होते हैं

ये दर्द-ए-जुनूँ ये सोज़-ए-जिगर इन कैफ़ियतों के गिर्द 'अख़्तर'
तस्ख़ीर के हल्क़े हों कि न हों तक़्दीस के हाले होते हैं

- Akhtar Ansari
0 Likes

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari