phool soonghe jaane kya yaad aa gaya | फूल सूँघे जाने क्या याद आ गया - Akhtar Ansari

phool soonghe jaane kya yaad aa gaya
dil ajab andaaz se lahara gaya

us se pooche koi chaahat ke maze
jis ne chaaha aur jo chaaha gaya

ek lamha ban ke aish-e-jaavedaan
meri saari zindagi par chha gaya

guncha-e-dil haaye kaisa guncha tha
jo khila aur khilte hi murjha gaya

ro raha hoon mausam-e-gul dekh kar
main samajhta tha mujhe sabr aa gaya

ye hawa ye burg-e-gul ka ehtijaaz
aaj main raaz-e-musarrat pa gaya

akhtar ab barsaat ruksat ho gai
ab hamaara raat ka rona gaya

फूल सूँघे जाने क्या याद आ गया
दिल अजब अंदाज़ से लहरा गया

उस से पूछे कोई चाहत के मज़े
जिस ने चाहा और जो चाहा गया

एक लम्हा बन के ऐश-ए-जावेदाँ
मेरी सारी ज़िंदगी पर छा गया

ग़ुंचा-ए-दिल हाए कैसा ग़ुंचा था
जो खिला और खिलते ही मुरझा गया

रो रहा हूँ मौसम-ए-गुल देख कर
मैं समझता था मुझे सब्र आ गया

ये हवा ये बर्ग-ए-गुल का एहतिज़ाज़
आज मैं राज़-ए-मुसर्रत पा गया

'अख़्तर' अब बरसात रुख़्सत हो गई
अब हमारा रात का रोना गया

- Akhtar Ansari
0 Likes

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari