ye haseen fitrat ke husn ka aneela-pan | ये हसीन फ़ितरत के हुस्न का अनीला-पन - Akhtar Ansari

ye haseen fitrat ke husn ka aneela-pan
zindagi ke aariz par ye kareeh peela-pan

uf ye beeti raaton ki yaad ka kateela-pan
aane waali subhon ke dhyaan ka raseela-pan

khayega shikast ik din sabr-o-zabt-e-paiham se
dard ka tasalsul aur jabr ka hateela-pan

zindagi ki mauseeqi kis sitam ki shaaki hai
huzn hai navaon mein lay mein hai chatteela-pan

ये हसीन फ़ितरत के हुस्न का अनीला-पन
ज़िंदगी के आरिज़ पर ये करीह पीला-पन

उफ़ ये बीती रातों की याद का कटीला-पन
आने वाली सुब्हों के ध्यान का रसीला-पन

खाएगा शिकस्त इक दिन सब्र-ओ-ज़ब्त-ए-पैहम से
दर्द का तसलसुल और जब्र का हटीला-पन

ज़िंदगी की मौसीक़ी किस सितम की शाकी है
हुज़्न है नवाओं में लय में है चटीला-पन

- Akhtar Ansari
0 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari