seena khun se bhara hua mera | सीना ख़ूँ से भरा हुआ मेरा - Akhtar Ansari

seena khun se bhara hua mera
uf ye bad-mast may-kada mera

na rasai pe naaz hai jis ko
haaye vo shauq-e-na-rasa mera

dil-e-gham-deeda par khuda ki maar
seena aahon se chil gaya mera

yaad ke tund-o-tez jhonke se
aaj har daagh jal utha mera

yaad-e-maazi azaab hai yaarab
cheen le mujh se hafiza mera

minnat-e-charkh se bari hoon mein
na hua jeete-ji bhala mera

hai bada shaghl zindagi akhtar
poochte kya ho mashghala mera

सीना ख़ूँ से भरा हुआ मेरा
उफ़ ये बद-मस्त मय-कदा मेरा

ना रसाई पे नाज़ है जिस को
हाए वो शौक़-ए-ना-रसा मेरा

दिल-ए-ग़म-दीदा पर ख़ुदा की मार
सीना आहों से छिल गया मेरा

याद के तुंद-ओ-तेज़ झोंके से
आज हर दाग़ जल उठा मेरा

याद-ए-माज़ी अज़ाब है यारब
छीन ले मुझ से हाफ़िज़ा मेरा

मिन्नत-ए-चर्ख़ से बरी हूँ में
न हुआ जीते-जी भला मेरा

है बड़ा शग़्ल ज़िंदगी 'अख़्तर'
पूछते क्या हो मश्ग़ला मेरा

- Akhtar Ansari
0 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari