khahish-e-aish nahin dard-e-nihaani ki qasam
bul-hawas khaaya karein ishrat-e-faani ki qasam
ik gham-angez haqeeqat hai hamaari hasti
qissa-khwaan teri gham-angez kahaani ki qasam
dil ki gahraaiyon mein aag dabii rakhta hoon
chashm-e-giryaan se barsate hue paani ki qasam
jab se aayi hai khuda rakhe jawaani akhtar
ham har ik baat par khaate hain jawaani ki qasam
ख़्वाहिश-ए-ऐश नहीं दर्द-ए-निहानी की क़सम
बुल-हवस खाया करें इशरत-ए-फ़ानी की क़सम
इक ग़म-अंगेज़ हक़ीक़त है हमारी हस्ती
क़िस्सा-ख़्वाँ तेरी ग़म-अंगेज़ कहानी की क़सम
दिल की गहराइयों में आग दबी रखता हूँ
चश्म-ए-गिर्यां से बरसते हुए पानी की क़सम
जब से आई है ख़ुदा रक्खे जवानी 'अख़्तर'
हम हर इक बात पर खाते हैं जवानी की क़सम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Sach Shayari Shayari