saaf zaahir hai nigaahon se ki ham marte hain
munh se kahte hue ye baat magar darte hain
ek tasveer-e-mohabbat hai jawaani goya
jis mein rangon ke evaz khoon-e-jigar bharte hain
ishrat-e-rafta ne ja kar na kiya yaad hamein
ishrat-e-rafta ko ham yaad kiya karte hain
aasmaan se kabhi dekhi na gai apni khushi
ab ye haalat hai ki ham hanste hue darte hain
she'r kahte ho bahut khoob tum akhtar lekin
achhe sha'ir ye suna hai ki jawaan marte hain
साफ़ ज़ाहिर है निगाहों से कि हम मरते हैं
मुँह से कहते हुए ये बात मगर डरते हैं
एक तस्वीर-ए-मोहब्बत है जवानी गोया
जिस में रंगों के एवज़ ख़ून-ए-जिगर भरते हैं
इशरत-ए-रफ़्ता ने जा कर न किया याद हमें
इशरत-ए-रफ़्ता को हम याद किया करते हैं
आसमाँ से कभी देखी न गई अपनी ख़ुशी
अब ये हालत है कि हम हँसते हुए डरते हैं
शे'र कहते हो बहुत ख़ूब तुम 'अख़्तर' लेकिन
अच्छे शाइ'र ये सुना है कि जवाँ मरते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Falak Shayari Shayari