charkh ki sai-e-jafa koshish naakaara hai | चर्ख़ की सई-ए-जफ़ा कोशिश नाकारा है - Akhtar Ansari

charkh ki sai-e-jafa koshish naakaara hai
gardish-e-dahr yahan jumbish-e-gahwaara hai

chaand taaron ke talaatum se ye aata hai khayal
dil-e-wahshi koi toofan-zada sayyaara hai

bah gaye deeda-e-nam-naak se dariya lekin
dil wahi ek dahakta hua angaara hai

dil hua soz-e-jahannam mein girftaar magar
rooh ab bhi kisi firdaus mein aawaara hai

kaisi taqdeer ki gardish gham-e-dil ko main ne
gardish-e-gumbad-e-aflaak pe de maara hai

mere sheron se taarruz na kar ai naqid-e-fan
meri barbaadi-e-dil hi mera shah-paara hai

bahjat-e-fikr pe qadir hoon main jab tak akhtar
mujhe sarmaaya-e-andoh bahut pyaara hai

चर्ख़ की सई-ए-जफ़ा कोशिश नाकारा है
गर्दिश-ए-दहर यहाँ जुम्बिश-ए-गहवारा है

चाँद तारों के तलातुम से ये आता है ख़याल
दिल-ए-वहशी कोई तूफ़ाँ-ज़दा सय्यारा है

बह गए दीदा-ए-नम-नाक से दरिया लेकिन
दिल वही एक दहकता हुआ अँगारा है

दिल हुआ सोज़-ए-जहन्नम में गिरफ़्तार मगर
रूह अब भी किसी फ़िरदौस में आवारा है

कैसी तक़दीर की गर्दिश ग़म-ए-दिल को मैं ने
गर्दिश-ए-गुम्बद-ए-अफ़्लाक पे दे मारा है

मेरे शेरों से तार्रुज़ न कर ऐ नाक़िद-ए-फ़न
मेरी बर्बादी-ए-दिल ही मिरा शह-पारा है

बहजत-ए-फ़िक्र पे क़ादिर हूँ मैं जब तक 'अख़्तर'
मुझे सरमाया-ए-अंदोह बहुत प्यारा है

- Akhtar Ansari
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari