aarzoo ko rooh mein gham ban ke rahna aa gaya | आरज़ू को रूह में ग़म बन के रहना आ गया

  - Akhtar Ansari

aarzoo ko rooh mein gham ban ke rahna aa gaya
sahte sahte ham ko aakhir ranj sahna aa gaya

dil ka khun aankhon mein khinch aaya chalo achha hua
meri aankhon ko mera ahvaal kehna aa gaya

sahal ho jaayegi mushkil zabt soz o saaz ki
khoon-e-dil ko aankh se jis roz bahna aa gaya

main kisi se apne dil ki baat kah saka na tha
ab sukhun ki aad mein kya kuchh na kehna aa gaya

jab se munh ko lag gai akhtar mohabbat ki sharaab
be-piye aathon pahar madhosh rahna aa gaya

आरज़ू को रूह में ग़म बन के रहना आ गया
सहते सहते हम को आख़िर रंज सहना आ गया

दिल का ख़ूँ आँखों में खिंच आया चलो अच्छा हुआ
मेरी आँखों को मिरा अहवाल कहना आ गया

सहल हो जाएगी मुश्किल ज़ब्त सोज़ ओ साज़ की
ख़ून-ए-दिल को आँख से जिस रोज़ बहना आ गया

मैं किसी से अपने दिल की बात कह सकता न था
अब सुख़न की आड़ में क्या कुछ न कहना आ गया

जब से मुँह को लग गई 'अख़्तर' मोहब्बत की शराब
बे-पिए आठों पहर मदहोश रहना आ गया

  - Akhtar Ansari

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari