hayaat insaan ki sar ta pa zabaan maaloom hoti hai | हयात इंसाँ की सर ता पा ज़बाँ मालूम होती है - Akhtar Ansari

hayaat insaan ki sar ta pa zabaan maaloom hoti hai
ye duniya inqilaab-e-aasmaan maaloom hoti hai

muqaddar hai khizaan ke khoon se aish-e-bahaar-e-gul
khizaan ki rut bahaar-e-be-khizan maaloom hoti hai

mujhe naakaami-e-paiham se maayusi nahin hoti
abhi ummeed meri naujavaan maaloom hoti hai

koi jab naala karta hai kaleja thaam leta hoon
fughan-e-ghair bhi apni fugaan maaloom hoti hai

maal-e-dard-o-gham dekho sada-e-saaz-e-ishrat bhi
utar jaati hai jab dil mein fugaan maaloom hoti hai

chaman mein andaleeb-e-zaar ki fariyaad ai akhtar
dil-e-naadaan ko apni dastaan maaloom hoti hai

हयात इंसाँ की सर ता पा ज़बाँ मालूम होती है
ये दुनिया इंक़िलाब-ए-आसमाँ मालूम होती है

मुकद्दर है ख़िज़ाँ के ख़ून से ऐश-ए-बहार-ए-गुल
ख़िज़ाँ की रुत बहार-ए-बे-ख़िज़ाँ मालूम होती है

मुझे नाकामी-ए-पैहम से मायूसी नहीं होती
अभी उम्मीद मेरी नौजवाँ मालूम होती है

कोई जब नाला करता है कलेजा थाम लेता हूँ
फ़ुग़ान-ए-ग़ैर भी अपनी फ़ुग़ाँ मालूम होती है

मआल-ए-दर्द-ओ-ग़म देखो सदा-ए-साज़-ए-इशरत भी
उतर जाती है जब दिल में फ़ुग़ाँ मालूम होती है

चमन में अंदलीब-ए-ज़ार की फ़रियाद ऐ 'अख़्तर'
दिल-ए-नादाँ को अपनी दास्ताँ मालूम होती है

- Akhtar Ansari
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari