din muraadon ke aish ki raatein | दिन मुरादों के ऐश की रातें - Akhtar Ansari

din muraadon ke aish ki raatein
haaye kya ho gaeein vo barsaatein

raat ko baagh mein mulaqaatein
yaad hain jaise khwaab ki baatein

hasratein sard aahen garm aansu
laai hai barshgaal saugaaten

khwaar hain yun mere shabaab ke din
jaise jaadon ki chaandni raatein

dil ye kehta hai kunj-e-raahat hoon
dekhna gham-naseeb ki baatein

jin ke dam se shabaab tha zinda
haaye akhtar vo ishq ki ghaaten

दिन मुरादों के ऐश की रातें
हाए क्या हो गईं वो बरसातें

रात को बाग़ में मुलाक़ातें
याद हैं जैसे ख़्वाब की बातें

हसरतें सर्द आहें गर्म आँसू
लाई है बर्शगाल सौग़ातें

ख़्वार हैं यूँ मिरे शबाब के दिन
जैसे जाड़ों की चाँदनी रातें

दिल ये कहता है कुंज-ए-राहत हूँ
देखना ग़म-नसीब की बातें

जिन के दम से शबाब था ज़िंदा
हाए 'अख़्तर' वो इश्क़ की घातें

- Akhtar Ansari
0 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari