mohabbat hai aziyyat hai hujoom-e-yaas-o-hasrat hai | मोहब्बत है अज़िय्यत है हुजूम-ए-यास-ओ-हसरत है

  - Akhtar Ansari

mohabbat hai aziyyat hai hujoom-e-yaas-o-hasrat hai
jawaani aur itni dukh bhari kaisi qayamat hai

vo maazi jo hai ik majmua ashkon aur aahon ka
na jaane mujh ko is maazi se kyun itni mohabbat hai

lab-e-dariya mujhe lehron se yoonhi chahal karne do
ki ab dil ko isee ik shugl-e-be-ma'ani mein raahat hai

tira afsaana ai afsaana-khwaan rangeen sahi mumkin
mujhe roodaad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai

koi roye to main be-wajah khud bhi rone lagta hoon
ab akhtar chahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai

मोहब्बत है अज़िय्यत है हुजूम-ए-यास-ओ-हसरत है
जवानी और इतनी दुख भरी कैसी क़यामत है

वो माज़ी जो है इक मजमुआ अश्कों और आहों का
न जाने मुझ को इस माज़ी से क्यूँ इतनी मोहब्बत है

लब-ए-दरिया मुझे लहरों से यूँही चहल करने दो
कि अब दिल को इसी इक शुग़्ल-ए-बे-मअ'नी में राहत है

तिरा अफ़्साना ऐ अफ़्साना-ख़्वाँ रंगीं सही मुमकिन
मुझे रूदाद-ए-इशरत सुन के रो देने की आदत है

कोई रोए तो मैं बे-वजह ख़ुद भी रोने लगता हूँ
अब 'अख़्तर' चाहे तुम कुछ भी कहो ये मेरी फ़ितरत है

  - Akhtar Ansari

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari