jaan-sipaari ke bhi armaan zindagi ki aas bhi | जाँ-सिपारी के भी अरमाँ ज़िंदगी की आस भी

  - Akhtar Ansari

jaan-sipaari ke bhi armaan zindagi ki aas bhi
hifz-e-naamoos-e-alam bhi neesh-e-gham ka paas bhi

khaak dar-bar hi sahi main khaak bhi vo khaak hai
jis mein mere zakhm-e-dil ki boo bhi hai aur baas bhi

kitne daur-e-charkh un aankhon ne dekhe kuchh na pooch
mit chuka hai waqt ki raftaar ka ehsaas bhi

haaye vo ik nashtar-aageen neshtar-afroz yaad
jis ke aage hech apni burrish-e-infaas bhi

ham na the kuchh khud hi us saude pe raazi warna yun
raas aane ko ye duniya aa hi jaati raas bhi

khud ko ai dil yaas-e-kaamil ke hawaale yun na kar
jhaankti hai zehan ke gurfe se koi aas bhi

kaun us waadi se uchhala taa-sar-e-arsh-e-bareen
gum hain jis waadi mein akhtar khizr bhi ilyaas bhi

जाँ-सिपारी के भी अरमाँ ज़िंदगी की आस भी
हिफ़्ज़-ए-नामूस-ए-अलम भी नीश-ए-ग़म का पास भी

ख़ाक दर-बर ही सही मैं ख़ाक भी वो ख़ाक है
जिस में मेरे ज़ख़्म-ए-दिल की बू भी है और बास भी

कितने दौर-ए-चर्ख़ उन आँखों ने देखे कुछ न पूछ
मिट चुका है वक़्त की रफ़्तार का एहसास भी

हाए वो इक नश्तर-आगीं नेश्तर-अफ़रोज़ याद
जिस के आगे हेच अपनी बुर्रिश-ए-इंफ़ास भी

हम न थे कुछ ख़ुद ही उस सौदे पे राज़ी वर्ना यूँ
रास आने को ये दुनिया आ ही जाती रास भी

ख़ुद को ऐ दिल यास-ए-कामिल के हवाले यूँ न कर
झाँकती है ज़ेहन के ग़ुर्फ़े से कोई आस भी

कौन उस वादी से उछला ता-सर-ए-अर्श-ए-बरीं
गुम हैं जिस वादी में 'अख़्तर' ख़िज़्र भी इल्यास भी

  - Akhtar Ansari

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari