qasam in aankhon ki jin se lahu tapkata hai | क़सम इन आँखों की जिन से लहू टपकता है

  - Akhtar Ansari

qasam in aankhon ki jin se lahu tapkata hai
mere jigar mein ik aatish-kada dahakta hai

guzishta kaahish o andoh ke khayal thehar
mere dimaagh mein shola sa ik bhadakta hai

kisi ke aish-e-tamannaa ki dastaan na kaho
kaleja meri tamannaon ka dhadakta hai

ilaaj-e-'akhtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin
agar vo jee nahin saka to mar to saka hai

क़सम इन आँखों की जिन से लहू टपकता है
मिरे जिगर में इक आतिश-कदा दहकता है

गुज़िश्ता काहिश ओ अंदोह के ख़याल ठहर
मिरे दिमाग़ में शोला सा इक भड़कता है

किसी के ऐश-ए-तमन्ना की दास्ताँ न कहो
कलेजा मेरी तमन्नाओं का धड़कता है

इलाज-ए-'अख़्तर'-ए-ना-काम क्यूँ नहीं मुमकिन
अगर वो जी नहीं सकता तो मर तो सकता है

  - Akhtar Ansari

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari