gham-zada hain mubtala-e-dard hain naashaad hain
ham kisi afsaana-e-ghamnaak ke afraad hain
gardish-e-aflaak ke haathon bahut barbaad hain
ham lab-e-ayyaam par ik dukh bhari fariyaad hain
haafeze par ishraton ke naqsh baaki hain abhi
tu ne jo sadme sahe ai dil tujhe bhi yaad hain
raat bhar kahte hain taare dil se roodaad-e-shabaab
in ko meri vo shabaab-afroz raatein yaad hain
akhtar'-e-na-shaad ki parchhaaien se bachte rahein
jo zamaane mein shagufta-khaatir o dil-e-shaad hain
ग़म-ज़दा हैं मुब्तला-ए-दर्द हैं नाशाद हैं
हम किसी अफ़्साना-ए-ग़मनाक के अफ़राद हैं
गर्दिश-ए-अफ़्लाक के हाथों बहुत बर्बाद हैं
हम लब-ए-अय्याम पर इक दुख भरी फ़रियाद हैं
हाफ़िज़े पर इशरतों के नक़्श बाक़ी हैं अभी
तू ने जो सदमे सहे ऐ दिल तुझे भी याद हैं
रात भर कहते हैं तारे दिल से रूदाद-ए-शबाब
इन को मेरी वो शबाब-अफ़रोज़ रातें याद हैं
'अख़्तर'-ए-ना-शाद की परछाईं से बचते रहें
जो ज़माने में शगुफ़्ता-ख़ातिर ओ दिल-ए-शाद हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Ansari
our suggestion based on Akhtar Ansari
As you were reading Gham Shayari Shayari